Ulfat Ka Shakhsiyat Lekar – Nihal Srivastava
Hello Friends Kaise Hai Aap Log Aaj Maine Khud Ki Likhi Hui Ghazal Aap Logon Ke Saamne Pesh Ki Hai Umeed Hai Aap Log Ise Pasand Karenge…Aur Mujhe Share Kar Ke Mera Manobal Badhayenge…”Ulfat Ka Shakhsiyat Lekar Nikle The Zamane Me” Ye Shayari Maine Kayi Saalon Pahle Likhi Thi Jab Mai 9th Class Me Tha Lagbhag 10 Saal Pahle Ki Baat Hai….Magar Ise Kahi Padha Nahi Aur Na Hi Kahi Dikhaya…Agar Aapko Meri Ghazal Pasand Aayi Ho To Plzz Ise Apne Doston Aur Parivaar Me Share Karein..Thank You All Mai Aisi Shandaar Ghazal Roz Aapke Samane Laata Rahunga
उल्फत का शख्शियत लेकर निकले थे ज़माने में
पर सारी ज़िंदगी गुज़ार दी रूठने और मनाने में
Ulfat Ka Shakhsiyat Lekar Nikle The Zamane Me
Par Saari Zindagi Guzaar Di Roothne Aur Manane Me
आहिस्ता-आहिस्ता संभाल रहा हूं खुद को जरा
शायद कुछ वक्त लगे यादो को दिल से बुझाने में
Aahista-Aahista Sambhal Raha Hu Khud Ko Zara
Shayad Kuch Wakt Lage Yaadon Ko Dil Se Bujhane Me
आब-ए-आतिशो का तन्हाई में हमे सहारा मिला
बहुत तकल्लुफ कर लिए प्यार को समझाने में
Aab-e-Aatishon Ka Tabhaayi Me Hamein Sahara Mila
Bahut Takalluf Kar Liye Pyaar Ko Samjhaane Me
शहर-ए-मरासिम तो रहा पर दिल तो अजनबी है
ना जाने कितनी बार टूट गए एक ही रिश्ते बनाने में
Shehar-e-Marasim Toh Raha Par Dil Toh Ajanabi Hai
Naa Jaane Kitni Baar Toot Gaye Ek Hi Rishte Banane Me
अच्छा हुआ तेरे गेसुओं के अब्र से पस्ती बरस गया
और “नील” मसरूफ हुए ज़ुल्मतों को आग लगाने में
Achcha Hua Tere Gesuon Ke br Se Pasti Baras Gaya
Aur “Neel” Masroof Hue Zulmaton Ko Aag Lagane Me
Read More –