Raahgeer Ban Ke Guzre- Nihal Srivastava
राहगीर बन के गुज़रे
राहगीर बन के गुज़रे और गली के फ़कीर हो गए
आशिक़ी में ग़ालिब और ग़ालिब से मीर हो गए
उस कजरारी आँखों में कुछ साहिर के इशारे थे
जिनसे भी मिलाया सब पत्थर के लकीर हो गए
बैठे-बैठे उसके दिल पर कौन सा तीर चलाऊँ
वो वादियों में थी और वादियो में कश्मीर हो गए
मैं उसके पीछे उम्र भर इश्क़ में गरीब होता रहा
और मेरे सारे दोस्त शादियों से अमीर हो गए
मैं तो फरीदपुर का मजनूँ भी न बन सका कभी
और लोगो की नज़रों में इश्क़ के वजीर हो गए
ग़ालिब सा निकम्मा निकम्मे से “नील” कब हुए
जो चल न पाया कभी तरकश से वो तीर हो गए
लफ्ज़ पर पैर रख आज मेरे होठो से गुजर गयी
शायद पहली बार हम शायरी में बेनजीर हो गए
बंद आँखों से मैं उसे क्या-क्या कहूं आज “नील”
लब कुछ कह न सके तो कलम शमशीर हो गए
Raahgeer Ban Ke Guzre
Raahgeer Ban Ke Guzre Aur Gali Ke Fakeer Ho Gaye
Aashqui Me “Ghalib” Aur “Ghalib” Se Meer Ho Gaye
Us Kajraari Ankho Me Kuch Saahir Ke Ishaare The
Jinse Bhi Milaaya Sab Patthar Ke Lakeer Ho Gaye
Baithe-Baithe Uske Dil Par Kaun Sa Teer Chalaun
Wo Wadiyon Me Thi Wadiyon Me Kashmir Ho
Gaye
Mai Uske Piche Umr Bhar Ishq Me Gareeb Hota Raha
Aur Mere Saare Dost Shadiyon Se Ameer Ho Gaye
Mai Toh Faridpur Ka Majnu Bhi Na Ban Saka Kabhi
Aur Logon Ki Nazron Me Ishq Ke Wajeer Ho gaye
Ghalib Sa Nikamma Nikamme Se “Neel” Kab Hue
Jo Chal N Paaya Kabhi Tarrkash Se Wo Teer Ho Gaye
Lafz Par Pair Rakh Aaj Mere Hothon Se Guzar Gayi
Shayad Pehli Baar Hum Shayari Me Benajeer Ho Gaye
Band Ankhon Se Mai Use Kya-Kya Kahun Aaj “neel”
Lab Kuch Na Keh Sake Toh Kalam Shamsheer Ho Gaye
Read More –
- Yeh Zindagi Hindi Shayari
- Daag Dehlvi Ghazal “Achchi Surat Pe Gazab”
- Mai Chala Jaun Toh – Nihal Srivastava
- Ek Khwab Haqiqat Ka – Nihal Srivastava
- Mai Chor Hoon Agar – Nihal Srivastava
- Raahgeer Ban Ke Guzre- Nihal Srivastava
- Mai Aur Meri Tanhaai – Nihal Srivastava
- Ek Tasavvur – Nihal Srivastava
- Aaya Hoon Badi Door Se – Nihal Srivastava