Nihal Srivastava Ghazal – Wo Laut Gayi Aise
वो लौट गयी ऐसे
वो लौट गयी ऐसे कि- मेरी किस्मत हो जैसे
मेरे लब से मेरी हँसी रुख्सत हो जैसे
मेरा ख़याल आईनों सा टूट जाता है छन से
मुझसे रूठ जाना सबकी आदत हो जैसे
जिसे सुनकर मैं खो जाता हूँ यूँ ही बैठे-बैठे
लगता है उस कहानी की वो इमारत हो जैसे
सबकुछ बन कर बिखर जाता है इन आँखों से
मेरी तंग किस्मत से खुदा को शरारत हो जैसे
शब्-ओ-सुभा हर नफ़स में मैं उसे सिमरता हूँ
कि-उसका नाम मन्नत का कोई आयत हो जैसे
मुझे अपना दुःख बताना अच्छा तो नही लगता
मगर दिल का हाल सुनाने में अब राहत हो जैसे
जिसको मुझसे गिला हो उसी से शिकायत करूँ
ये मेरी नादान मोहब्बत की नयी इबादत हो जैसे
खुद से बगावत कर लिया मैंने तेरे वास्ते
और तुझे मेरे नाम से कोई अदावत हो जैसे
क़यामत ही क़यामत है आजकल मेरे सीने पर
हर जगह बसी तेरे सूरत की सबाहत हो जैसे
अपने ही कंधो पर मैं ‘नील’ सो जाऊँ अगर
मुझे गोद में सुलाना किसी की इजाजत हो जैसे
Wo Laut Gayi Aise
Wo Laut Gayi Aise Ki Meri Kismat Ho Jaise
Mere Lab Se Meri Hasi Rukhsat Ho Jaise
Mera Khayal Aaino Sa Toot Jaata Hai Chan Se
Mujhse Rooth Jaana Sabki Aadat Ho Jaise
Jise Sunkar Mai Kho Jaata Hu Yu Hi Baithe-Baithe
Lagta Hai Us Kahani Ki Wo Imarat Ho Jaise
Sabkuch Bankar Bikhar Jaata Hai In Aankho Se
Meri Tang Kismat Se Khuda Ko Shararat Ho Jaise
Shab-o-Subha Har Nafas Me Mai Use Simarta Hoon
Ki Uska Naam Mannat Ka Koi Aayat Ho Jaise
Mujhe Apna Dekh Batana Achcha Toh Nahi Lagta
Magar Dil Ka Haal Sunane Me Rahat Ho Jaise
Jisko Mujhse Gila Ho Usi Se Shikayat Karu
Ye Meri Nadaan Mohabbat Ki Nayi Ibadat Ho Jaise
Khud Se Bagawat Kar Liya Maine Tere Vaaste
Aur Tujhe Mere Naam Se Koi Adawat Ho Jaise
Kayamat Hi Kayamat Hai Aajkal Mere Seene Par
Har Jagah Basi Teri Surat Ki Sabahat Ho Jaise
Apne Hi Kandho Par Mai “Neel” So Jaun Agar
Mujhse Gond Me Sulana Kisi Ki Ijajat Ho Jaise
Read More –
- Mai Aur Meri Tanhaai – Nihal Srivastava
- Ek Tasavvur – Nihal Srivastava
- Yeh Zindagi Hindi Shayari
- Daag Dehlvi Ghazal “Achchi Surat Pe Gazab”
- Mai Chala Jaun Toh – Nihal Srivastava
- Ek Khwab Haqiqat Ka – Nihal Srivastava
- Mai Chor Hoon Agar – Nihal Srivastava
- Raahgeer Ban Ke Guzre- Nihal Srivastava