Jo Ho Ik Baar – Nida Fazali Ghazal
जो हो इक बार, वह हर बार हो ऐसा नहीं होता
हमेशा एक ही से प्यार हो ऐसा नहीं होता
Jo Ho Ik Baar, Wah Har Baar Ho Aisa Nahi Hota
Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota
हरेक कश्ती का अपना तज्रिबा होता है दरिया में
सफर में रोज़ ही मंझदार हो ऐसा नहीं होता
Har Ek Kashti Ka Apna Tajarba Hota Hai Dariya Me
Safar Me Roz Hi Manjhdhaar Ho Aisa Nahi Hota
कहानी में तो किरदारों को जो चाहे बना दीजे
हक़ीक़त भी कहानी कार हो ऐसा नहीं होता
Kahani Me Toh Kirdaaron Ko Jo Chahe Bana Dije
Haqiqat Bhi Kahani-Kaar Ho Aisa Nahi Hota
सिखा देती है चलना ठोकरें भी राहगीरों को
कोई रास्ता सदा दुशवार हो ऐसा नहीं होता
Sikha Deti Hai Chalna Thokrein Bhi Raahgeeron Ko
Koi Raasta Sada Dushwaar Ho Aisa Nahi Hota
कहीं तो कोई होगा जिसको अपनी भी ज़रूरत हो
हरेक बाज़ी में दिल की हार हो ऐसा नहीं होता
Kahin Toh Koi Hoga Jisko Apni Bhi Zarurat Ho
Har-Ek Baazi Me Dil Ki Haar Ho Aisa Nahi Hota
Final Thought:
If You Want To Read More Ghazals Of Nida Fazli Then comment your opinion in comment box and i will upload daily best ghazals of best shayars…and dont forgot to share this post..take care thank you
Read More –