Ghar Shayari In Hindi | घर पर शायरी
एक हम सख़ावत में घर का घर लुटा बैठे
एक वो ख़यानत से अपना घर सजा बैठे – अल्तमश शम्स
Ek Hum Sakhawat Me Ghar Ka Ghar Luta Baithe
Ek Wo Khayanat Se Apna Ghar Saza Baithe – Altamash Shams
घर के फ़र्द अपने घर को भूल गए
हम-सफ़र हम-सफ़र को भूल गए – निहाल रिज़वी
Ghar Ke Fard Apne Ghar Ko Bhool Gaye
Hum-Safar – Hum Safar Ko Bhool Gaye – Nihal Rizvi
घर में बेचैनी हो तो अगले सफ़र की सोचना
फिर सफ़र नाकाम हो जाए तो घर की सोचना – शुजा ख़ावर
Ghar Me Bechaini Ho Toh Agle Safar Ki Sochana
Phir Safar Nakaam Ho Jaaye Toh Ghar Ki Sochana – Shuja Khavar
भीड़ के ख़ौफ़ से फिर घर की तरफ़ लौट आया
घर से जब शहर में तन्हाई के डर से निकला – अलीम मसरूर
Bheed Ke Khauf Se Phir Ghar Ki Taraf Laut Aaya
Ghar Se Jab Shehar Me Tanhaayi Ke Darr Se Nikla – Aleem Masroor
Ghar Shayari 2 Lines
कपड़े अपने घर के हैं
धब्बे दुनिया-भर के हैं – सय्यद ज़मीर जाफ़री
Kapde Apne Ghar Ke Hai
Dhabbe Duniya Bhar Ke Hai – Sayeed Zameer Zafari
ख़ुशी से अपना घर आबाद कर के
बहुत रोएँगे तुम को याद कर के – ज़हीर रहमती
Khushi Se Apna Ghar Abaad Kar Ke
Bahut Royenge Tumko Yaad Kar Ke – Zaheer Rehmati
इश्क़ का एक घर हमारा है
बाक़ी सारा-जहाँ तुम्हारा है – नज़र कानपुरी
Ishq Ka Ek Ghar Hamara Hai
Baaki Saara Jahan Tumhara Hai – Nazar Kanpuri
Ghar Shayari In English
घर नहीं रहगुज़र में रहता है
पाँव मेरा सफ़र में रहता है – जी आर कँवल
Ghar Nahi Rehgujar Me Rehta Hai
Paaw Mera Safar Me Rehta Hai – G.R. Kaval
तुम परिंदों से ज़ियादा तो नहीं हो आज़ाद
शाम होने को है अब घर की तरफ़ लौट चलो – इरफ़ान सिद्दीक़ी
Tum Parindo Se Jyada Toh Nahi Ho Azaad
Shaam Hone Ko Hai Ab Ghar Ki Taraf Laut Chalo – Irfaan Siddiqui
उन दिनों घर से अजब रिश्ता था
सारे दरवाज़े गले लगते थे – मोहम्मद अल्वी
Un Dino Ghar Se Ajeeb Rishta Tha
Saare Darwaaje Gale Lagte The – Mohammad Alvi
कोई भी घर में समझता न था मिरे दुख सुख
एक अजनबी की तरह मैं ख़ुद अपने घर में था – राजेन्द्र मनचंदा बानी
Koi Bhi Ghar Me Samajhata N Tha Mere Dukh-Sukh
Ek Ajanabi Ki Tarah Mai Khud Apne Ghar Me Tha – Rajendra Manchanda Baani
Ghar Ki Yad Shayari In Hindi
लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में,
तुम तरस नहीं खाते बस्तियां जलाने में? – बशीर बद्र
Log Toot Jaate Hai Ek Ghar Banane Me
Tum Taras Nahi Khaate Bastiyaan Jalane Me – Bashir Badr
पता अब तक नहीं बदला हमारा
वही घर है वही क़िस्सा हमारा – अहमद मुश्ताक़
Pata Ab Tak Nahi Badala Hamara
Wahi Ghar Hai Wahi Kissa Hamara – Ahmad Mushtak
ज़लज़ला आया तो दीवारों में दब जाऊँगा
लोग भी कहते हैं ये घर भी डराता है मुझे – अख़्तर होशियारपुरी
Jaljala Aaya Toh Deewaron Me Dab Jaunga
Log Bhi Kehte Hai Ye Ghar Bhi Darata Hai Mujhe – Akhtar Hosiyarpuri
कब आओगे ये घर ने मुझ से चलते वक़्त पूछा था
यही आवाज़ अब तक गूँजती है मेरे कानों में – कफ़ील आज़र अमरोहवी
Kab Aaoge Ye Ghar Ne Mujhse Chalte Wakt Poocha Tha
Yahi Awaaj Ab Tak Goonjati Hai Mere Kaano Me – Kafeel Aajar Amrohavi
Ghar Vapasi Shayari In Hindi
कभी तो शाम ढले अपने घर गए होते
किसी की आँख में रह कर सँवर गए होते – बशीर बद्र
Kabhi Toh Shaam Dhale Apne Ghar Gaye Hote
Kisi Ki Aankh Me Reh Kar Sawar Gaye Hote – Bashir Badr
तमाम रिश्तों को मैं घर पे छोड़ आया था,
फिर उस के बाद मुझे कोई अजनबी नहीं मिला। – बशीर बद्र
Tamaam Rishton Ko Mai Ghar Pe Chhor Aaya Tha
Phir Uske Baad Mujhe Koi Ajanabi Nahi Mila – Bashir Badr
उस की आँखों में उतर जाने को जी चाहता है
शाम होती है तो घर जाने को जी चाहता है – कफ़ील आज़र अमरोहवी
Uski Aanko Me Utar Jaane Ko Ji Chahata Hai
Shaam Hoti Hai Toh Apne Ghar Jaane Ko Ji Chahata Hai – Qafeel Aajar Amrohavi
Read More –