Daag Dehlvi Ghazal “Achchi Surat Pe Gazab”
Achchi Surat Pe Gajab
अच्छी सूरत पे ग़ज़ब टूट के आना दिल का
याद आता है हमें हाय! ज़माना दिल का
तुम भी मुँह चूम लो बेसाख़ता प्यार आ जाए
मैं सुनाऊँ जो कभी दिल से फ़साना दिल का
पूरी मेंहदी भी लगानी नहीं आती अब तक
क्योंकर आया तुझे ग़ैरों से लगाना दिल का
इन हसीनों का लड़कपन ही रहे या अल्लाह
होश आता है तो आता है सताना दिल
मेरी आग़ोश से क्या ही वो तड़प कर निकले
उनका जाना था इलाही के ये जाना दिल का
दे ख़ुदा और जगह सीना-ओ-पहलू के सिवा
के बुरे वक़्त में होजाए ठिकाना दिल का
उंगलियाँ तार-ए-गरीबाँ में उलझ जाती हैं
सख़्त दुश्वार है हाथों से दबाना दिल का
बेदिली का जो कहा हाल तो फ़रमाते हैं
कर लिया तूने कहीं और ठिकाना दिल का
छोड़ कर उसको तेरी बज़्म से क्योंकर जाऊँ
एक जनाज़े का उठाना है उठाना दिल का
निगहा-ए-यार ने की ख़ाना ख़राबी ऎसी
न ठिकाना है जिगर का न ठिकाना दिल का
बाद मुद्दत के ये ऎ दाग़ समझ में आया
वही दाना है कहा जिसने न माना दिल का
Achchi Surat Pe Gajab
Achchi Surat Pe Gajab Toot Ke Aana Dil Ka
Yaad Aata Hai Hamein Haye Jamana Dil Ka
Tum Bhi Muh Chum Lo Be_saakhta Pyaar Aa Jaye
Mai Sunau Jo Kabhi Dil Se Fasana Dil Ka
Nigah-e-Yaar Ne Ki Khaana Kharaabi Aisi
N Thikana Hai Jigar Ka N Thikana Dil Ka
Poori Mehandi Bhi Lagani Nahi Aati
Kyukar Aaya Tujhe Gairo Se Lagana Dil Ka
Guncha-E-Dil Ko Wo Mutthi Me Liye Aate The
Maine Pucha To Kiya Mujhse Bahana Dil Ka
In Haseeno Ka Lakadpan Hi Rahe Ya Allah
Hosh Aata Hai To Aata Hai Satana Dil Ka
De Khuda Aur Jagah Seena-o-Pahlu Ke Siva
Ki Bure Wakt Me Hi Jaaye Thikana Dil Ka
Meri Aagosh Se Kya Hi Wo Tadap Kar Nikle
Un Ka Jaana Tha Ilaahi Ki Ye Jaana Dil Ka
Nigah-e-Sharm Ko Betaab Kiya Kaam Kiya
Rang Laaya Teri Aankho Ka Samna Dil Ka
Ungliyaan Taar-e-Garebaan Me Ulajh Jaati Hai
Sakht Dushwaar Hai Haatho Se Dabana Dil Ka
Hoor Ki Shakl Ho Tum Noor Ke Putle Ho Tum
Aur Is Par Tumhe Aata Hai Jalana Dil Ka
Chod Kar Is Ko Teri Bazm Se Kyukar Jaun
Ik Janaje Ka Uthana Hai Uthaana Dil Ka
Be-Dili Ka Jo Kaha Haal To Farmate Hai
Kar Liya Tu Ne Kahi Aur Thikana Dil Ka
Baad Muddat Ke Ye Ae “Daag” Samjh Me Aaya
Wahi Daana Hai Kaha Jis Ne N Maana Dil Ka
Read More –