Ahmad Faraaz Ghazal – Karu Na Yaad Magar Kis Tarah
Brief Intro of Ahmad Faraz- Syed Ahmed Shah, better known by his pen name Ahmed Faraz, was a Pakistani Urdu poet. He was widely known as one of the best modern Urdu poets of the last century.
करूँ न याद मगर किस तरह भुलाऊँ उसे
करूँ न याद मगर किस तरह भुलाऊँ उसे
ग़ज़ल बहाना करूँ और गुनगुनाऊँ उसे
वो ख़ार-ख़ार है शाख़-ए-गुलाब की मानिन्द
मैं ज़ख़्म-ज़ख़्म हूँ फिर भी गले लगाऊँ उसे
ये लोग तज़्क़िरे करते हैं अपने लोगों के
मैं कैसे बात करूँ और कहाँ से लाऊँ उसे
मगर वो ज़ूदफ़रामोश ज़ूद-रंज भी है
कि रूठ जाये अगर याद कुछ दिलाऊँ उसे
वही जो दौलत-ए-दिल है वही जो राहत-ए-जाँ
तुम्हारी बात पे ऐ नासिहो गँवाऊँ उसे
जो हमसफ़र सर-ए-मंज़िल बिछड़ रहा है “फ़राज़”
अजब नहीं कि अगर याद भी न आऊँ उसे
Karu Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulau Use
Karu Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulau Use
Ghazal Bahana Karu Aur Gungunaun Use
Wo Khaar-Khaar Hai Shakh-E-Gulaab Ki Manind
Mai Zakhm-Zakhm Hoon Phir Bhi Gale Lagaun Use
Ye Log Tazkire Karte Hai Apne Logo Ke
Mai Kaise Baat Karu Aur Kaha Se Laun Use
Magar Wo Joodfaramosh Kood Ranj Bhi Hai
Ki Rooth Jaye Agar Yaad Kuch Dilaun Use
Wahi Jo Daulat-E-Dil Hai Wahi Jo Raahat-E-Jaan
Tumhari Baat Pe Ae Nasihon Gawaun Use
Jo Humsafar Sar-E-Manzil Bichad Raha Hai “Faraaz”
Ajab Nahi Ki Gar Yaad Bhi Na Aaun Use
Read More –
- Raahgeer Ban Ke Guzre- Nihal Srivastava
- Ahmad Faraaz Ghazal – Karu Na Yaad Magar Kis Tarah
- Zindagi Shayari In Hindi | Shayari On Life | ज़िन्दगी शायरी
- Hungama – Kumar Vishwas Poem | भ्रमर कोई कुमुदनी पर
- Koi Deewana Kehta Hai | Kumar Vishwas Poem
- Mirza Ghalib Ghazal -Tum Jaano Tum Ko Gair Se
- Kurbat Bhi Nahi Dil Se Utar Bhi Nahi Jaata – Ahmad Faraz
- Hamesha Der Kar Deta Hoon Mai – Muneer Niyaazi